Tuesday, 4 October 2011

Bas ik maafi !



Hamari Tauba !
Kabhi jo aisay sata'en tum ko,
Lo haath joray, lo kaan pakray,
ab aur kesy mana'en tum ko?
...

Jo sach kahen to tumhen to ghussay nay
aur dilkash bana diya hai,

Hamaray mann ko to soojhta hai
k aur ghussa dila'en tum ko,

To kia tum ab tak hamari nazron
k sab tqaazon se be'khabar ho?

Hamen mohabat hai tum se pagal !
Ab aur kaisy bata'en tum ko?

Bata'en tum ko bicharty lamhy
labon ki larzish ka kia sabab tha?

Suna tha waqt-e-Qabooliyat hai,
so dai rahe thay duaen tumko

No comments:

Post a Comment